Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein
Milain Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain,
Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Yeh Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain,
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain,
Tu KHUDA Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain?
Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Woh Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain,
Ab Na Woh Main Hun, Na Tu Hai, Na Woh Maazi Hai “Faraaz”
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain...!!!
0 comments :
Speak up your mind
Tell us what you're thinking... !