Urdu Love Shayari with Picture Deewana


Is Basti Ke aik kooche Me Insha naam ka Deewana
Aik naar pe jaan ker haar gaya, mashhoor hai us ka afsana

Is naar Me aisa roop na tha, jis roop se din ki dhoop dabe
Is shaher Me kia kia gouri hai, mahtaab rukhe, gulnaar liye
Kuch baat thi us ki baaton me, kuch bhaid thay us Ke chatoon me
Wahi bhaid Ke joot jagate hain, kisi chahne wale Ke mun me
Usay apna banane ki dhun me, howa aap he aap se begaana
Is basti Ke aik kooche Me Insha naam ka deewana

Na chanchal khail jawani ke, na pyaar ki ulharr ghaten theen
Bus raah Me milna tha, ya fone pe un ki baaten theen
Is ishq pe hum bhi hanste thay, be-hasil sa be-hasil tha?
Aik roz bipharte saagar me, na kashti thi na saahil tha
Jo baat thi un Ke jee Me thee, jo bhaid tha yakser an-jaana
Is basti Ke aik kooche Me Insha naam ka deewana

Aik roz magar barkha rut main, wo bhaadon thi ya saawan tha?
Deewar pe beech samander ke, ye dekhne walon ne dekha
Mastana haath Me haath diye, ye aik kagar pe bethe hain
Youn shaam hoi phir raat hoi, jub seelani ghar lout gaye
Kia raat thi woh jee chahta hai us raat pe likhen afsana
Is basti Ke aik kooche Me Insha naam ka deewana

Haan umr ka saath nibhane Ke thay ahed-o-pemaan bohat
Wo jin pe bharosa kerne Me kuch sood nahi, nuqsan bohat
Wo naar ye keh ker door hoi "Majboori sajan majboori"
Ye wehshat se ranjoor howe aur ranjoori si ranjoori hai
Us roz humain maloom howa, is shaqs ka mushkil samajhna
Is basti Ke aik kooche Me Insha naam ka deewana

Go aag si chhaati jalti thee, go aankh se darya behta tha
Her aik se dukh nahi kehta tha, chup rehta tha ghum sehta tha
Na daan hain woh chherrte hain, is aalam Me na-daanon ko
Us shaqs se aik jawab mila, sub apnon ko be-gaanon ko
Kuch aur kahoon to sunta hoon is baab Me kuch mat farmana
Is basti Ke aik kooche Me Insha naam ka deewana

Ab aage ki tehqeeq nahi, go sunte ho hum sunte hain
Us naar ki jo jo baaten theen, us naar Ke jo jo qisse thay
Aik shaam ko us ko bulwaya kuch samjhaya bechaare ne
Us raat ye qissa paak kia, kuch keh he lia dukhyare ne
Kia baat hoi, kis tour hoi? Akhbaar se logon ne jaana
Is basti Ke aik kooche Me Insha naam ka deewana

Her baat ki khoj to theek nahi, tum hum ko kahani kehne do
Us naar ka naam maqaam hai kia, is baat per parda rehne do
Hum se bhi tou souda mumkin hai, tum se bhi jafa ho sakti hai
Ye apna bayaan ho sakta hai, ye apni kathha ho sakti hai
Woh naar bhi aakhir pachtai, kis kaam ka aesa pachtaana?
Is basti Ke aik kooche Me Insha naam ka deewana...!!!


0 comments :

Speak up your mind

Tell us what you're thinking... !