Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Say Jal Jatay Hain
Hum Charaaghon Ki Tarha Shaam Say Jal Jaatey Hain,
Bach Nikaltey Hain Agar Aatish-e-Sayyad Say Hum
Sholaa-e-Aatish-e-Gulfaam Say Jal Jaatey Hain,
Khud_Numaai To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Say Jal Jaatey Hain,
Shamma Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Kay Liye
Hum Usi Aag Mein Gum_Naam Say Jal Jaatey Hain,
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Meray Naam Kay Saath
Jaaney Kiyon Log Meray Naam Say Jal Jaatey Hain,
Rabt-e-Baaham Pay Humein Kiya Na Kahein Gay Dushman
Aashnaa Jab Teray Paighaam Say Jal Jaatey Hain.....
0 comments :
Speak up your mind
Tell us what you're thinking... !