Latest
Showing posts with label Love Shayari. Show all posts
Showing posts with label Love Shayari. Show all posts

Love Shayari Text SMS 140 Words in Urdu with Art Pictures

Urdu Love Sms Aik Pal Ky Liey Chaly Aao Dill Ko Shaid Qaraar Aa Jaey image

Aik Pal Ky Liey Chaly Aao,
Dill Ko Shaid Qaraar Aa Jaey...!!!




Urdu Love Sms Woh Bhi Hmary Sath Hai Sehraa Me In Dino Dekha Tha Jinko Humny Muabat Ki Nazar Sy Picture

Woh Bhi Hmary Sath Hai Sehraa Me In Dinon,
Dekha Thaa Jinko Humny Muhabbat Ki Nazar Se...!!!







Hameein Se Rangy Gulistan Hamieen Sy Rangy Bahaar,
Hamieen Ko Nazam-e-Gulistan Py Ikhtiyaar Naheen...!!!




Urdu Sms Love Meny Chaha Hai Tujhy Dil Sy Ibaadat Ki Hai Tu Bhi Chahy To KHUDA Apna Bna Ly Koi Image

Meny Chaha Hai Tujhy Dil Sy Ibaadat Ki Hai,
Tu Bhi Chahy To KHUDA Apna Bna Ly Koi...!!!




Urdu Sms Love Suna Hai Eid Aai Hai Nan Jaany Kab Tum Aao Gy Wallpaper

Suna Hai Eid Aai Hai,
Naa Jaany Kab Tum Aao Gey...!!!




Urdu Sms Love Toot Jata Hai Wasta khudsy Tujh Se Jab Raabta Nahi Hota Image

Toot Jata Hai Wasta Khud Se,
Tujh Se Jab Raabta Nahi Hota...!!!




Urdu Sms Love Tu Nai Waqif-e-Adab-e-Ghulaami Sy Abhi Raqs Zanjeer Pehan Ker Bhi Kiya jaata Hai Picture

Tu Nahi Waqif-e-Adab-e-Ghulaami Sy Abhi,
Raqss Zanjeer Pehan Ker Bhi Kiya Jaata Hai...!!!




Urdu Sms Love Wisaal Mein Bhi Woh Hi Hai Firaaq Ka Aalam Ky Usko Neend Mujhy Raat Jaagy Ki Aadat Hai Wallpaper

Wisaal Me Bhi Woh Hi Hai Firaaq Ka Aalam,
Ky Usko Neend Mujhy Raat Jaagy Ki Aadat Hai...!!!




Urdu Sms Love Yun To Har Lamha Teri Yad Ka Bojhal Guzraa Dill Ko Mehsoos Hoi Teri Kami Sham Ky Baad Image

Yun To Har Lamha Teri Yaad Ka Bojhal Guzraa,
Dil Ko Mehsoos Hoi Teri Kami Sham Ky Baad...!!!




Urdu Sms Love Kya Kabhi Khatm Bhi Hongy Ye Dard Ky Lamhy Zindagi Bartegi Kabtaq Ye Byrukhi Humsy Picture

Kya Kabhi Khatm Bhi Hongy Yeh Dard Ky Lamhy,
Zindagi Bartegi Kabtaq Yeh Berukhi Humsy...!!!


Love Shayari SMS in Hindi With Lovely Images


Jaan Kar Anjan Banna Acha Lagta Hai
Mujey Unko Apne Liay Pareshan Karna Acha lagta hai,

Muje Woh Karte Rahe Piyar Ka Iqrar
Bar Bar Nadan Ban Kar Har Bar Sunna Acha Lagta Hai...!!!






Uski Batain Bar Bar Yaad Karke Roye
Uske Liye RABB Se Faryaad Karke Roye,

Uski Khushi Ke Liye Choord Diaa Usey
Phir Uski Hi Kami Ka Ehasas Karke Roye...!!!







Koi Judaa Ho Gaya Koi Khafa Ho Gaya
Najane Zindgi Me Humse Kyaa Gunah Ho Gaya,

Bohat Sajde Kiye Kisi Ko Pane Ke Liay
Jis Sajde Me Usy Pana Tha Wohi Qaza Ho Gaya...!!!






Mujhe Qismat Se Shikwa Nahi Lekin "Ay KHUDA"
Woh Zindagi Me Kyun Aya Jo Qismat Me Nahi Tha...!!!






Sochte Hain Seekh Lain Hum Bhi Berukhi Karna Sab Se,
Sab Ko Muhabbat Dete Dete Hum Ne Apni Qadar Kho Di...!!!






Door Ja Kar Bhi Hum Door
Ja Naa Sakenge
Kitna Royenge Hum
Btaa Na Sakenge,

Gham Iska Nahi Ke Aap
Mil Na Sakoge,
Dard Is Baat Ka Koga Ke Hum Aapko
Bhula Na Sakenge...!!!






Amal Se Bhi Mangaa Wafa Se Bhi Mangaa
Tujhe Maine Teri Razaa Se Bhi Mangaa,

Na Kuch Ho Saka To Duaa Se Bhi Mangaa
Kasam Hai KHUDA Ki KHUDA Se Bhi Mangaa...!!!






Mere Rooth Jane Se Ab Unko Koi Faraq Nahi Parta,
BeChain Kar Daiti Thi Kabhi Jinko Khaamoshi Meri...!!!





Un Haseen Palon Ko Yaad Kar Rahe The
Aasmaan Se Aapki Baat Kar Rahe The,

Sukoon Mila Jab Humain Hawaon Ne Btaya
Aap Bhi Hamain Yaad Kar Rahe The...!!!






Mere Piyar Ki Woh Intiha Pochte Hain
Dil Me Hai Kitni Jagaa Pochte Hain,

Chahte Hain Hum Unko Khud Se Ziyada
Is Chaahat Ki Bhi Woh Wajaa Pochte Hain...!!!


Hindi Love Shayari SMS with Images


Sadyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karo Gey Tum?

Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Nhi Kuch Or Tamana Ab,
Ke Bus Mery Ho Jao Tum,

Kabi Na Chor Ke Jao Gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Faqt Ik lafz Sunne Ko,
Kai Barson se Tarsy Hain,

MUJHE APNA BANA LO TUM,
Kaho Aisa Karo Gey Tum...??





Mily To Hazaroon Loog They Zindgi Me,
Magar woh Sab Se Alag Tha Jo Qismat Me Nahi Tha...!!!






Hum Bhool Jate Hain Us Ke Sare Sitam,
Jab Us Ki Thori Si Muhabbat Yaad Aati Hai...!!!





Kisi Ki Chahat Me Barbad Ho Gaye
Apni Hi Khushiyon Ke Khilaf Ho Gaye,

Chale The Hum Sab Ko Khushiyan Dene
Aaj Khud Apni Khushi Ke Liye Mohtaj Ho Gaye...!!!





Piyar Kar Ke Tujhe Dil Se Mitana Mushkil Hai
Yeh Tufan Ab Palkon Par Rok Pana Mushkil Hai,

Aasan Lag Raha Hai Tujhe Yaad Kar Ke Mar Jana
Q Ke Tujhe Bhool Kar To Jina Pana Muskil Hai...!!!





Aaj Woh Apny Ho Kar Bhi Begany Lagey
Jesy Hawaa Ke Thandy Jhonky Humain Jalany Lagy,

Meri Ek Aah Pey Girty They Jin Key Hazaron Aansu
Aaj Woh Mere Zakhmon Pey Muskaraney Lage...!!!





Us Ne Poocha Zindagi Kis Ney Barbaad Ki?
HUM Ney Ungli Othai Aur Apney Hi Dil Pey Rakh Di...!!!





Meri Barbadi Par Tum Koi Malaal Na Karna
Bhool Jana Mera Khyal Naa Karna,

Hum Teri Khusi Ke Liye Kafan Ordh Lengey
Par Tum Meri Laash Se Koi Sawal Naa Karna...!!!





Jisam Us Ka Bhi Matti Ka Hai Meri Tarha,
"Ay KHUDA"
Phir Q Sirf Mera Hi Dil Tarapta Hai Us Ke Liye...??





Kaash Hum Bhi Hoty Shayari Ke Baadshah,

Tujhko Rulaaty Teri Bewafai Ke Sher Suna Suna Kar...!!!


Love Shayari in Hindi with Pictures Vol-2


Suno..!!
Zara Socho..!!

Kia Guzre Gi Dil Par?

Agar Kisi Ko Chaho Tum Meri Tarha
Aur Koi Chor De Tumhain Tumhari Tarha...???





Woh Kitna Meharban Tha Ke Hazaron Ghum De Gaya,
Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sakay Piyar Ke Siwaa...!!!






Gilay Shikway Se Chahat Me Kahin Koi Faraq To Nhi Parhta
"MAGAR"
Aik Baat Yeh Bhi Hai Jahaan Shikway Nhi Hoty Wahan Chahat Nhi Hoti...!!!





Yun To Meri Har Baat Samjh Jate Ho Tum
Phir Bhi Kiun Mujhe Satate Ho Tum,

Tum Bin Koi Aur Nahi Mera
Shayad Isi Baat Ka Faiyda Uthate Ho Tum...!!!





Bohat They Mere Bhi Is Duniya Me Apne,
Phir Ek Ajnabi Se Ishq Huwaa Aur Hum La-Waris Ho Gaye...!!!





Kahan Say Laoun Har Roz Ik Naya "Dil"
Tornay Walon Nay To Tamasha Bana Rakha Hai...!!!





Tum Khud-Ba-Khud Shamil Ho Gaye Meri "Saanson" Me,
Hum Soch ke Karte To Phir "Mohabbat" Na Karte...!!!





Jin Ke Paas Hoti Hain Umer Bhar Ki Yadain,
Woh Log Tanhai Me Bhi Tanhaa Nahi Hotay...!!!

Love Shayari in Hindi with Images Vol-1


Pagal Huaey Jo Hum To Ulfat Usy Bhi Thi
Chaaha Jo Humne Us Ko To Chaahat Usay Bhi Thi,

Usko Na Bhool Payengay Woh Janta Tha
Aur Har Baat Bhol Jane Ki Adat Usay Bhi Thi...!!!





Bichri Hui Rahon Say Jo Guzray Hum Kabhi,
Har Gham Par Khoaey Hui Ek Yaad Mili Hai...!!!






Bina Ghum Khushi Ka Pata Kaise Chalega
Bina Roye Hansi Ka Maza Kaise Milega?

Woh Jo Bhi Karta Hai, Woh Hi Janta Hai
Hum Bhi Jaan Gaye, To Use KHUDA Kon Kahega...!!!





Tu Hi Bata Ae Dil, Tujhe Samjhaon Kaise?
Jise Chaahta Hai Tu, Usse Nazdeek Laon Kaise?

Youn To Har Tamanna Har Ehsaas Hai Woh Mera
Par Uss Ehsaas Ko Yeh Ehsaas Dilaun Kaise...!!!




Raat Ki Tanhai Me To Har Koi Yaad Kar Leta Hai,
Subah Uthte Hi Jo Yaad Aye Muhbbat Use Kahte Hain...!!!




Woh Kah Gaya Ke Mera Intzaar Naa Karnaa
Main Kahun Toh Bhi Mera Aitbaar Naa Karnaa,

Yeh Bhi Kahaa Ke Unko Pyaar Nahi Mujh Se
Aur Yeh Bhi Keh Gaya Ke Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna...!!!





Dekha Palat Kar Usne
"Chahat" Use Bhi Thi,

Duniya Se Meri Tarah
"Shikayat" Use Bhi Thi,

Woh Roye The Mujko
"Pareshan" Dekh Kar,

Us Din Pata chala Meri
"Zarorat" Use Bhi Thi...!!!





MOHABBAT Kar Sakte Ho To KHUDA Se Karo,
Mit'ti Ke Khilonon Se Kabhi Wafa Nahi Milti...!!!





Woh Shakhs Rehta Hai Har Waqat Mery Khayalon Me Is Tarha,
Ke Abb Kisi Aur Ke Khwab Dekhnay Ki Zaroorat Nahi Mujhe...!!!





Kuch Aisi Mohabbat Us Ke Dil Me Bhar De Yaa RABB,
Ke Woh Jis Ko Bhi Chaahe, Woh "MAIN" Ban Jaun...!!!


Urdu Hindi Love Shayari Chaand Ka Chooma Huaa Surkh Gulaabi Chehra



Chaand Ka Chooma Huaa Surkh Gulaabi Chehra,
Easi Thandak Hai Ke Jo Aag Laga Deti Hai...!!!


،چاند کا چوما ہوا سرخ گلابی چہرہ
!!!...ایسی ٹھنڈک ہے کہ جو آگ لگا دیتی ہے

चाँद का चूमा हुआ सुर्ख गुलाबी चेहरा,
ऎसी ठंडक है के जो आग लगा देती है...!!!


Hindi Lov Sad Shayari Tumko Fursat Kabhi Jo Mil Jaey Khud Se Mujhko Nijaat De Dena



Tumko Fursat Kabhi Jo Mil Jaey,
Khud Se Mujhko Nijaat De Dena...!!!


،تم کو فرصت کبھی جو مل جائے
!!!...خود سے مجھ کو نجات دے دینا

तुम को फुर्सत कभी जो मिल जाये,
ख़ुद से मुझ को निजात दे देना...!!!


Random