Tuesday, 16 July 2013

Khud Ko Kirdaar Se Ojhal Nahi Honay Deta Woh Kahaani Ko Mukammal Nahi Honay Deta



Khud Ko Kirdaar Se Ojhal Nahi Honay Deta
Woh Kahaani Ko Mukammal Nahi Honay Deta,

Sang Bhi Phainkta Rehta Hai Kaheen Saahil Se
Aur Paani Mein Bhi Halchal Nahi Honay Deta,

Kaasa-e-Khwaab Se Taabeer Utha Leta Hai
Phir Bhi Aabaadi Ko Jangal Nahi Honay Deta,

Dhoop Mein Chhaon Bhi Rakhta Hai Saron Per, Laikin
Aasmaan Per Kaheen Baadal Nahi Honay Deta,

Abar Bhi Bhejta Rehta Hai Sadaa Basti Mein
Gali Koochon Mein Bhi Jal Thal Nahi Honay Deta,

Roz Ek Leher Utha Lata Hai Be-Khwaabi Ki
Aur Palkon Ko Bhi Bojhal Nahi Honay Deta,

Phool Hee Phool Khilata Hai Sar-e-Shaakh-e-Wajood
Aur Khushboo Ko Musalsal Nahi Honay Deta,

Aalam-e-Zaat Mein Darvaish Bana Deta Hai
Ishq Insaan Ko Paagal Nahi Honay Deta...!!!


No comments:

Post a Comment