Kuch Log Bohat Yaad Aaingy "EID" Ke Din
Hum Ansu Bhi Bahaingy "EID" Ke Din,
Saja Kar Dil Me Unki Tasveer
Apny Aap Se Sharmaingy "EID" Ke Din,
Shayad Ho Us Ki Aamad Is Bahane
Hum Ghar Apna Sajaingy "EID" Ke Din,
Shayad Dy Aanin Peghaam Humara Un Ko
Hum Hawa Ko Aazaingy "EID" Ke Din,
Tum Bhi Mere Paas Na Hogy "EID" Ke Din
To Kaisy "EID" Manapaigy "EID" Ke Din...!!!
Kiyaa Sunayain Kis Haal Me Aati Hai Pardes Ki "EID"
Nikal Aate Hain Aansu Jab Yaad Aati Hai Dais Ki "EID",
Rahain Woh Khush-o-Khuram Ghar Me Apne
Jin Ke Liye Hum Ko Rulaati Hai Pardes Ki "EID",
Aate Hain Yaad Jabb Woh Phool Se Chehry
Us Lamhe Hum Ko Kitna Tarpati Hai Pardes Ki "EID",
Kis Se Galley Milain Kisey Kahain Ge Apna Hum
Bas Youn Hi Guzar Jaati Hai Pardes Ki "EID",
Kehte Hain Harr Baar Bas Pardes Ki Hai Yeh Aakhri "EID"
Agley Saal Phir Aa Jaati Hai Pardes Ki "EID"...!!!
Hasrat Hai Tumhari Deed Krain
Tum Aao To Hum Bhi "EID" Krain,
Kuch Dair To Dil Ko Chain Mily
Kuch Rooz To Mann Ke Phool Khilain,
Kehty Hain "EID" Ki Aamad Hai
Tum Aao To Hum Bhi "EID" Karin,
Jab Gham Ke Baadal Chaey They
Uss Baar Bhi Tum Na Aaey They,
Is Baar Bhi Tum Naa Aaey Ho,
Sub Dushman Yeh Tanqeed Krain,
Tum Aao To Hum Bbhi "EID" Karin,
Mana Ke Hum Deewane Hain
Sab Baaton Se Anjany Hain,
Jab Apny Hi Begany Hon
Kiya Gheroon Se Umeed Krain,
Tum Aao To Hum "EID" Karin
Tum Aao To Hum "EID" Karin...!!!
Suna Hai Chand Nikla Tha?
Suna Hai "EID" Bhi Hogayi?
Humain To Aasman Py Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikha Tha,
Kahan Woh Chand Nikla Tha?
Ke Jis Ke Wasty Hum Ne,
Kabhi Palkain Nahi Jhapki
Woh Jis Ka Raasta Takty,
Hai Guzari Zindage Apni
Nahi Kuch Bhi Khabar Keh Woh,
Nikly Ga To Kab Aakhir..?
Humari Muntazir Aankhon Ko,
Us Ki Deed Kab Hogi?
Abhi Tum Hum Se Mat Pucho,
Humari "EID" Kab Hogi...!!!
Abhi Tum Hum Se Mat Pucho,
Humari "EID" Kab Hogi...!!!
No comments:
Post a Comment