Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi,
Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi,
Ajab Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot'ty Patte Talash Karti Thi,
Qayam Karti Thi WOH Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi,
Tamaam Raat WOh Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay WOH Lamhe Talash Karti Thi,
Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se USS KO Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi,
Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi,
Tamam Raat WOH Zakhma Ke Apni Pooron KO
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi,
Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi,
Mujhe to Aaj Bataya Hai Badlon Ne ”Wasi”
WOH Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi...!!!
=====================================================================
Bonas Ghazal: Mujhy Aazaad Kar Do Naa
Mujhy Aazaad kar do na
Ke main hun Qaid Barson se,
Judaie ki Aziat me
Zehar bhar de ga ye Zalim,
Meri nazuk Tabiat me
Na do ab hosla mujh ko,
Bata do Rasta mujh ko
Koi bahir Niklany ka,
Hawaa me Phir se Urny ka
Mujhy us Dais jana hai,
Jahan Panchhi Utarty hain
Jahan Mausam Badalty hain,
Meri Banjar si Aankhon me
Meri Betaab Sansoon me,
Koi to Rang Bhar do na
Mujhy Aazaad Kar do na...!!!
No comments:
Post a Comment