Sunday, 30 June 2013

Bohat Masroof Lamhon Me Kabhi ik Pal Ko Socho To



Bohat Masroof Lamhon me
Kabhi ik Pal Ko Socho to,

Koi Kitna Akaila Hai
Kisi Ki Zindagi Tum Ho,

Kisi Ki Bandgi Tum Ho
Kisi Ko Teri Khawahish Hai,

Kisi Ki Chahtain Tum Ho
Kabi ik Pal Ko Socho To,

Tumhari Bewafai Ne
Tumhari Laparwhi Ne,

Tumhari Beneazi Ne
Kisi Ko Mar Dala Hai,

Koi Zinda To Hai Lekin 
Faqat Woh Saans Leta Hai,

Zara Ik Pal Ko Socho To
Koi Kitna Akaila Hai...!!!

=====================================================================
Bonas Ghazal: Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte Thy


Kuch Ajab Shaan Se Logon Me Raha Karte Thy
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Me Mila Karte Thy,

Itni Tehzeeb Rah-O-Rasm To Baaqi Thi Ke Woh
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte Thy

Usne Puchha Tha Kaee Baar Magar Kya Kahiye
Hum Mizaajan Hi Pareshan Raha Karte Thy,

Khatam Tha Hum pe Mohabbat Ka Tamasha Goya
Rooh Aur Jism Ko Har Roz Juda Karte Thy,

Zindagi Humse Tere Naaz Uthaye Na Gaye
Saans Lene Ki Faqat Rasm Ada Karte Thy...!!!


Shehar Mera Magar Waqar Uska Tha


Shehar Mera Magar Waqar Uska Tha
Meri Har Sham Ko Intezaar Uska Tha,

Mere Khuwaboon Pe Jo Kabiz Hai Ek Shakhs
Meri Aankhoon Me saara Khumaar Uska Tha,

Mere wajod se Jo Anjan Ban Chukaa Hai
Meri Har Sans Pe Qarar Uska Tha,

Jab Bhi Maangi Us Se Shaam-e-Wisaal
Meri Har Daleel pe Inkar Uska Tha,

Jo Shaamil Hain Mery Qatal Ki Saazish Me
Un Logon Me Shumaar Uska Tha,

Mere Jevan Ne Yeh Manzar bhi Dekh Liya
Pehlu Mera Khanjar Mera Aur Waar Uska Tha...!!!



Usy Apnay Dard Ki Fikar Thi Woh Jo Mera Waqif-e-Hal Tha



Usy Apnay Dard Ki Fikar Thi Woh Jo Mera Waqif-e-Hal Tha.
Wo Jo Uski Subha-e-Arooj Thi Wohi Mera Waqt-e-Zawal Tha!

Mera Dard wo Kesay janta Meri Bat Wo Kesay Maanta,
Woh To khud Fana k Safar Mein Tha Usay Rokna Bhi Mahal Tha!


Kahan Jao Gay Mujhay Chorr Kar, Main Pooch Poch ke Thak Gya,
Woh Jawab Mujhko na De Saka woh To Khud Sarapa Sawal Tha!

Woh Mila To Sadiyon Baad Bhi Meray Lab Pe Koi Gila na Tha,
Usy Meri Chup Ney Rula Diya Jisay Guftugu Mein kamal Tha...!!!


There All Night Long A Persian Poem in English Translation


There, all night long
someone inside of my breasts
struggled to breathe, battled to rise up,
and wished, wished you were there
but was held back by a pair
of frozen hands.

There, all night long,
from the gloomy twigs
sorrow rained down, down,
someone was falling, falling apart,
someone was calling, calling for you,
And the air, the heavy air
was collapsing on her
over and over.


My little plant was in love,
in love with the wind, the wandering wind!
Tell me, what is the wind’s address?
Where does the wind go, go
to rest?


Translation: Maryam Dilmaghani, June 2013, from Tehran.

Urdu Poetry Images And Pictures Vol-1


Bewafai Ki Sab Kitaboon Me,
Tere Jesi Koi Misaal Nahi...!!!




Har Shakhs Se Sun Raha Hun Main Daastan Apni,
Bas Mujhko Hi Pata Nahi Main Barbaad Q Huaa...!!!




Hazaar Jaam Tasadu Hazaar Mekhany,

Nigha-e-Yaar Ki Lazzat Sharaab Kiya Jane...!!!




Ishq Karny Chaly Ho To Yeh Jaan Lo,
Is Me Hansty To Saath Hain Magar Rona Akely Hi Parta Hain...!!!




Khool Bethy Hain Dukaan husan Farooshi Ki,
Kuch Loog Is Baazar Ko Naam Ishq Ka Dekar...!!!




Main Apny Halaat Se Sulha To Kar Lon Lekin,
Mujhme Jo Ik Shakhs Ro Poosh Hai Marr Jaega...!!!




Milty Hi Chura Lety Ho Nigahain,
Kiya Khoob Samajhty Ho Nigahon Ki Zubaan Tum...!!!




Muhabbat Kiya Hai Mat Pocho Ise Bas Raaz Hi Rehny Do,
Yeh Easa Lafz Hai Jiski Wazahat Dard Deta Hai...!!!




Muhabbat Me Intha Dard Ki Shayad Tuny Dekhi Nahi,
Ary Naadan Rasm-E-Ishq Me Rona Jaiz Nahi Hota...!!!




Rehny Do Abb Ke Tum Bhi Mujhy Parh Na Sakogy,
Barsaat Me Kaghaz Ki Tarha Bheeg Gaya Hon Main...!!!




Toba Q Karty Ho Tum Ishq Se Ay Muhabbat Wabasta Logo,
Mehboob Tumhara Bewafa Ho To Is Me Ishq Ka Kiya Kasoor...!!!




Tu Mujhse Doori Barhany Ka Shook Pora Kar,
Meri Bhi Zidd Hai Tujhy Har Duaa Me Mangonga...!!!




Tum Dil Ko Lieay Bethy Ho,
Ishq Naslain Ujaar Deta Hai...!!!




Wabasta Ho Gai Thi Kuch Umedain Aap Se,
Umeedon Ka Chiraagh Bujhany Ka Shukraya...!!!




Yaqeen Hai Keh Na Aaeingy Mujhse Woh Milne,
To Dil Ko Mery Yeh Intzaar Kesa Hai...!!!



Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi



Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi,

Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi,

Ajab Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot'ty Patte Talash Karti Thi,

Qayam Karti Thi WOH Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi,

Tamaam Raat WOh Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay WOH Lamhe Talash Karti Thi,

Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se USS KO Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi,

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi,

Tamam Raat WOH Zakhma Ke Apni Pooron KO
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi,

Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi,

Mujhe to Aaj Bataya Hai Badlon Ne ”Wasi”
WOH Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi...!!!

=====================================================================
Bonas GhazalMujhy Aazaad Kar Do Naa

Mujhy Aazaad kar do na
Ke main hun Qaid Barson se,

Judaie ki Aziat me
Zehar bhar de ga ye Zalim,

Meri nazuk Tabiat me
Na do ab hosla mujh ko,

Bata do Rasta mujh ko
Koi bahir Niklany ka,

Hawaa me Phir se Urny ka
Mujhy us Dais jana hai,

Jahan Panchhi Utarty hain
Jahan Mausam Badalty hain,

Meri Banjar si Aankhon me
Meri Betaab Sansoon me,

Koi to Rang Bhar do na
Mujhy Aazaad Kar do na...!!!


Friday, 28 June 2013

Urdu Ghazals Collection Vol-3

Woh kesa shaks hay ke har rooz saza deta hay
Phir hansta hay woh itna ke sab bhula deta hay,

Kabhi jo ro day to mujhy bhi bhool jata hay
Aur phir bhool ke mujh ko bhi rula deta hay,

Hamaray pas na aany ki kasam kha kar woh
AAJA Likhata hai woh, khaghaz pay urra deta hay,

Us say poocho ke bata kis say muhabbat hay tumhain
Naam sargoshi me mera hi suna deta hay,

Kabhi kehta hay chalo saath hamesha mere
chal paroon saath to raasta hi phira deta hay,

Khud hi kehta hai na dohraao purani yaadain
Main na dohraaoon to phir khud hi sunaa deta hay...!!!



محبٌت میں کہاں ترمیم ھوتی ھے؟
محبٌت میں ھمیشہ ایک سا موسم نہیں رہتا
کبھی ھے وصل کی رم جھم
بھگو دیتی ھے آنچل کو
،دلِ بیکل کو،چنچل کو

کبھی ھے ھجر کا جلتا دہکتا کاسنی سورج
،لہو میں خار بھرتا ھے
بالآخر سُرمئی سایوں میں ڈھلتا ھے
،جو پلکوں پر مچلتا ھے
محبٌت کے مسافر کی کوئی منزل نہیں ھوتی
،محبٌت کا جو کُلیہ ھے
بدلنے کا کبھی امکان ھوتاہی نہیں اس میں
،سُنا ھے زندگی پل پل یہاں تقسیم ھوتی ھے
محبٌت میں کہاں ترمیم ھوتی ھے...؟؟؟


Urooj par hay Tumhara Mousam
Khizaan Me Tum ko Khareed lengay,

Bano gay Hum say Reham Ke Talib
Na Tumko Mohlat Mazeed dengay,

Adaa Ke Qissay huay Purany
Jafa ka Mousam Khatam hi samjho,

Karengy Tum say Hisaab jana
Na Tum ko Mohlat Mazeed dengay,

Wafa ki Lalach Me Hum nay Jana
Khoon apna JALA diya hay,

Faraib-o-Masti Ke Badlay Tum ko
Saza bhi Sun lo Shadeed dengay,

Urooj par hay Tumhara Mousam
Khizaan Me Tum ko Khareed lengay...!!!


Mujhe Tum Chor Mat Dena

Hazaron Dorian hain Par
Yeh rishta tor mat dena,

Mera chehra bhula dena
Meri yaadainn bacha lena,

Jo lamhey dard dete Hon
Une beshak bhula dena,

Une dil se laga lena
Kahin bhi door reh lena,

Buhat majboor reh lena
Magar is doorie ko tum,

Bahana mat bana lena
Taluq tor mat dena,

Mujhe Tum Chor Mat Dena



یہ سال بھی آخر بیت گیا
،کچھ ٹیسیں، یادیں خواب لیے

چند کلیاں، چند گلاب لیے
،کچھ انکھڑیاں پرآب لیے

کچھ اجلے دن کچھ کالی راتیں
،کچھ سچے دکھ، جھوٹی باتیں

کچھ تپتی رتیں، کچھ برساتیں
،کسی یار عزیز کا دکھ پیارا

کسی چھت پہ امیدوں کا تارا
،جس پہ ہنستا تھا جگ سارا

اس شاعر نے جو حرف لکھے
،اس میں تیری یاد کے ساۓ تھے

وہ لوگ بھی آخر لوٹ گئے
،جو صدیوں پار سے آۓ تھے

ان ہنستے بستے لوگوں نے
،میرے سارے دکھ اپناۓ تھے

پھر میں نے یاد کی مٹی میں
!!!...زخمی لمحے دفناۓ تھے


Jazbaat behkete hain jab tumse milta hon
Armaan machalte hain jab tumse milta hon,

Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta
Sab humse jalte hai jab tumse milta hon,

Ankhon se tum jaane kya kya keh deti ho
Toofan se chalte hain jab tum se milta hon,

Haathon se hath milte hain honton se hont
Dil se dil milte hain jab tumse milta hon,

Aahon me beh jaati hai tanhai ki har raat
Kai shikwe dil me rahte hain jab tumse milta hon...!!!


Thursday, 27 June 2013

Samnay Manzil Thi Aur Peechay Us Ki Aawaz



Samnay Manzil thi aur Peechay us ki Aawaz
Rukta to safar jata, Chalta to bicher Jata,

Manzil ki bhi Hasrat thi, aur us se Muhabbat Bhi
Ay Dil btaa mujh ko, Us wkt me kidher Jata,

Muddat ka safar bhi tha, aur Barson ki Shanasaai Bhi
Rukta to Bikher Jata, Chalta to Main Marr Jata,

Lagi Piyaas ghazab ki thi Pani main bhi Zeher Tha
Peeta to Marr jata, na Peeta to bhi Marr Jata...!!!

Tow Lines Poetry

Jis Ke Badlay Me Tum Mil Jao,
Main Kisi Aisi Naiki Ki Talaash Me Hon...!!!


اِس قدر شفاف کر دے گی یہ تنہائی مجھے
دیکھنے والوں کو تُو مجھ میں نظر آ جائے گا...!!!
Is Qadar Shafaaf Kar Degi Yeh Tahai Mujhy,
Dekhny Waloon Ko Tu Mujhme Nazar Aa Jaega...!!!

Khabi Aesa Bhi Ho Ke Main Ghumaan Karon,
Aur Tumhain Ro Ba Roo Paoon...!!! 

Main Sochon To Mera Khayal Ho Tum,
Main Mangon To Meri Duaa Ho Tum...!!!

Ruk Hi Jati Hai Nazar Had-E-Nazar Tak Ja Ke,
Dil To Chahtaa Hai Jahan Tum Ho Wahan Tak Dekhon...!!!

Subah Uthty Hi Mujhy Tu Miley,
Mujhy Uss Subah Ka Intazar Hai...!!!

Tumhain Bholain Gay Aur Woh Bhi Hum,
Ajeeb Bhool Hai Wese Tumhari...!!!

Dunia Tery Wajood Ko Karti Rahi Talaash,
Hamne Tere Khayaal Ko Dunia Bana Lia...!!!

Kyun Kissi Aur Ko Dukh Dard Sunaon Apnay
Apni Aankhon Se Bhi Zakham Chupaon Apnay,
Main Toh Qayem Hun Tere Gham Ki Badolat Warna
Yun Bikhar Jaon K Khud Hath Na Aaon Apnay...!!! 

Is Baarish Ko Keh Do Mery Aangan Me Naa Barsay,
Isay Dekh Kar Shiddat Say Kisi Ki Yaad Aati Hai...!!!



Wednesday, 26 June 2013

True Love The Poem



True Love

Why can’t you love me the way that I
love you? Why can’t you give to me
the way I give to you?
My heart, my soul, my spirit all is

yours and you take and feed from it and
leave me hollow with nothing back in
return. Why can’t you give me your
love the way I give you mine?


Why leave me always wanting
more from what we have, empty and
aching wishing we had more time.
Incubus you leave me drained

and weak from working so hard
to keep our love aflame.
Why should this be such an
effort when once it was so

easy? Is it that you no longer love
me as I love you? That having
drained all my love away you
need to feed elsewhere?

I have no more to give as
I have given all I have and
if not enough I can do no
more as less than all my love
is no love at all...!!!



A Love Letter Poem



A Love Letter Poem.

I think of you when moments begin to fill with silence.
The sunset catches my eye, and I am brought back to your smile,
Sweet. Twilight. The first time we kissed.

When my footsteps begin to feel monotonous,
The beat reverberates through my body.
You are here in front of me, in my mind, behind my eyes.
Your open palms wildly beat your chest in a rhythm,
The musician in you was never quiet.
Even as your fingers sat still, I could see them eager and waiting,
Melodies causing them to pulsate in impatience.
These small things I noticed, and have since tucked them away in the pocket of my memory,
Saving them for another day.
There are times, I admit it, that I still cry for you.
For the love that was lost,
And the love that you found. 
It is in these moments that I let go of the pain that still lingers,
And the regrets of what could have been.
In these moments, I allow myself
To just love you, once more. 
An indulgence that I do not allow myself.

I find my hands drawn to my closet,
Digging for the picture of us, still framed. 
Frozen in a moment that is still so crisp to me.
And yet, I do not seem to recognize myself. 

I feel you here sometimes,
And can sometimes remember your touch.
But there is nothing I resent more,
Than these lingering memories
That won’t let me forget...!!!



In The Dark Always In The Dark The Poem



In The Dark, Always In The Dark.

and it is in the moment 
that sleep should come
in the quiet
and the dark
there is a hollow ache
that starts
deep within
echoing across
my skin
a slow burn starting
in my hips
a throb of need
that does not quit
to feel your heat
the tightening grip
to slide within
the kiss of hips...!!!


Romentic Quotes 

  1. I have a heart and that is true,but now it has gone from me to you,so care for it just like I do,because I have no heart and you have two...!!!
  2. The joy to be found in winters season is easily found with you...!!!
  3. I Would have followed him to hell,if he asked me and may be I did...!!!
  4. May Be I am scared because you mean more to me than any other person.You are everything I Think about,every thing I want...!!!
  5. When I Am With you,the only place I want to be is closer...!!!
  6. Sometimes,you don’t need to say anything.Just be there.Just be here besides me That’s ENOUGH...!!!
  7. Right from the start I knew I had to make you mine...!!!


Tuesday, 25 June 2013

Dont Tell Me You Love Me The Poem



i have to admit the space is nice,
not having to talk 
or look people in the eye,
just at myself

i feel too naked 
without some glass to hide behind
reflections to disguise
all the scars 

i’ve made 
a nice big bed to lie in
closer to the stars
though it’s empty

honestly
i mostly dont want to speak to you
because there’s nothing to say
when it’s too hard to say no 
when i want to say yes
but know it’s not the right answer


it’s too easy to fall
back into old ways,
laughing
loving
like it makes sense
when it doesn’t

when these days
im too scared
to see what you’ve been doing
or who
or anything 
to remind myself all the reasons 
for letting go

though
in weaker moments
i can’t keep myself 
from looking back, hoping
for something hopeless

im still holding on
but i don’t know why
(don’t tell me)...!!!



Love Poetry Collection In Urdu Vol-3


Yeh Kah Kar Usne Qatl-E-Aam Karwa Diyaa Shahar Me,
Kal Jo Sabse Pahle Mila Mujhe Wahi Mera Humsafar Hoga...!!!




Neend Se Karon To Kyaa Shikwaa Karon?
Baat To Us Chehray Ki Hai Jo Sonay Nahi Deta...!!!




Tumhain Qismat Samjh Kar Senay Se Lagayaa Tha,
Bhool Gaya Ke Qismat Badaltey Dair Nahi Lagti...!!!




Dafan Karna Yaa Jalna Apni Apani Marzi Hai,
Yaad Rahiay Mere Jism Ki Main Khud Maalik Hu...!!!




Gulshan Tha Lalazar Abhi Kal Ki Baat Hai
Har Gul Pe Tha Nikhar Abhi Kal Ki Baat Hai,


Ankhon Ki Jinki Aaj Ghatne Lagi Hun Main
Unko Tha Mujhse piyar Abhi Kal Ki Baat Hai...!!!



Yeh Ek Khawab Tha Shayad Ek Khawab He Hoga Par Sach Huaa Kaise,
Jab Se Jagi Hon Un Ke Chune Ka Ehasaas Hai zehan Me Ab Tak...!!!



Uski Awaz Sun Lon To Mil Jata Hai Sakoon Dil Ko,
Dekhon To Sahi Mery Dard Ka Elaaj Kaisa Hai...!!!



Apni To DAASTAAN-E-ISHQ Ka Yeh Pehlu Raha,
Nazrain Bhi Us Sy Mili Thi Jis Sy Muqaddar Na Mil Saka...!!!



Jab Hum Chote The To Sone Ke Liye Rone Ka Natak Krte The,
"Par Aaj"
Hum Jab Barey Ho Gaye Hain To Rone Ke Liye Sone Ka Natak Krte Hain...!!!



Main Mar Jaaon To Mere Sirhane Na Bithaana Usko



Main Mar jaaon to Mere Sirhane Na Bithaana Usko
Bahot Tasalli Dena Bahot Piyar se SamJhana Usko,

Ghumne ka Bahana kar ke Dour Fizaon me Kahin Le Jaana Usko
Woh Bewafa Hai Uss Waqat Yeh Ehsaas Naa Dilaana Usko,

Uss Ke Saamne Naa Karna Baatein Esi Ke Meri Yaad Aa jaaye
Mere Tafree Ke Mashghale Suna Suna ke Hansaana Usko,

Woh Royega jb jb toh Meri Rooh Tarap Uthegee
Aisa karna Dosto meri Mout kaa hi Na Tatana Usko...!!!


Mere Armaan In Poetry Words



MERE ARMAAN
Jo Armaan mere so gaye the
Jane kaise Wo Aaj jag Gaye Aur mujhe Phir Wahi Sapna dikha gaye,
Hum to Ji Rahe the ek jinda Laash ki tarah,
Jane aaj Kaha se woh hum par Jaan Daal gaye Phir wahi Dard Aur takleef jaga gaye,
Jin gumon se Hum bhaag Rhe the Woh Aaj phir hume,
Tadpa gaye,
Har lamha har pal hum to sirf haste the Phir Kyu Aaj humari ankhon me ansoon Aa gaye,
Socha tha shayad phir kabhi na aane denge inhe apne labon par Phir kyu aaj ye labon par aate aate rah gaye,
Jindagi ji rahe the haste haste Phir kyu aaj ye gumon ke badal
chha gaye,
Na kisi dukh ka ahsaas tha Aur na kisi khushi ka Phir kyu aaj hum khushiya manane lage,
Aur rone ko tadap gaye Jane mere armaan kaise jaag gaye....!!!

Dil Ko Dard Aankhon Ko Diya Paani Tumny



Dil ko dard ankhon ko diya paani tumne
Kis adaa se ujar Di meri jawaani tumne,

Tark-e-Talluk ke baad yeh meetha sa dard
sangeen jurm ki di hai saza suhaani tumne,

Daag dil ke sahayad yaad dilaa dain tumko
barsoon ki hai yeh hukmarani tumne,

kafan Gul-O-Bulbul ka diya hai chaman ko
cheen kar gulshan se baagh baani tumne,

waaqif thi ke toot jaungi nazuk lafzon se
soch samjh kar ki ha manmaani tumne...!!!!


Meri Mohabbat Ki Bari Chhoti Kahani Hai


Meri Mohabbat Ki Bari Chhoti Kahani Hai
Dil Toota Huaa Aur Aankhon Se Behta Paani Hai,

Kuch Bikhre Armaan Aur Beechada Saathi
Dekh Mera Haal, Aankhon Me Aata Paani Hai,

Kabhi Samjhane Aaya Mera Yaar Ke Bhool Ja Mujhy
Laut Gaya Mayoos Jab Pucha Yeh Ishq Kiski Nishani Hai,

Log Kehte Hain Majnu Tha Deewanaa Aur Laila Deewani Hai,
Puchti Hu KHUDA Se Kyon Ishq Banaya??
Kya Aashiqon Se Koi Dushmani Purani Hai...???


Ashkoan Ki Barsaat De Gaya Woh Jaate Jaate



Ashkoan Ki Barsaat De Gaya Woh Jaate Jaate
Aahon Ki Saughat De Gaya, Woh Jaate Jaate,

Dil Ne Chaha Tha sath rahenge Umar Bhar
Aarzuon Ki Bouchhar De Gaya, Woh Jaate Jaate,

Barhayaa Jo Khadam Mainy Use Chhony Ke Liye
Raahon Me Kaanty Bikher Gaya Woh Jaate Jaate,

Lari Thi Main Duniya Se Jiski Khatir
Hami Par War Kar Gaya, Woh Jaate Jaate...!!!


Monday, 24 June 2013

Hairaan Hon Ke Yeh Konsa Dastoor-E-Wafa Hai



Hairaan hoon k ye konsa Dastoor-E-Wafa hai
Tu Misl-E-Rag-E-Jaan hai, To kiyon mujh se khafa hai,

Tu Ahl-E-Nazer hai to nahi tuj ko khaber kiyon
Pehlu me tere koi zamanay se khara hai,

Likha hai mera naam samander pe hawa ne
Or dono ki fitrat me sukoon hai na wafa hai,

Shikwa nahi mujh ko ke hoon Mehroom-E-Tamanna
Gham hai to faqat itna ke tu dekh raha hai,

Hum rakhte hain daawaa ke hai qaboo hamain dil par
Tu saamnay aa jaye to yeh baat juda hai...!!!





Mujhe Na Saans Aati Hai Na Mera Dam Nikalta Hai



Mujhe na saans ati hai, na mera dam nikalta hai
Magar yeh beech ka aalam bohat takleef deta hai,

Samandar na nigalta hai, na sahil per patakhta hai
Magar yeh doobna ubharna bohat takleef deta hai,

Jo tum bolo sanwar jain, jo tum bolo bikhar jain
Magar yeh tootna jurna bohat takleef deta hai...!!!



Muhabbat Jeet Hoti Hai Magar Yeh Haar Jati Hai



Muhabbat Jeet Hoti Hai Magar Yeh Haar Jati Hai
Kabhi Dilsoz Lamhon Se Kabhi Bekaar Rasmon Se,

Kabhi Taqdeer Walon Se Kabhi Majboor Kasmon Se
Mager Yeh Haar Jati Hain Kabhi Ye Phool Jaisi Hai,

Kabhi Yeh Dhool Jaisi Hai Kabhi Ye Chand Jaisi Hai
Kabhi Yeh Dhoop Jaisi Hai Kabhi Masroor Karti Hai,

Kabhi Yeh Rog Deti Hai Kabhi Yeh Rol Deti Hai
Kisi Ka Chain Leti Hai Kisi Ko Chain Deti Hai,

Kabhi Le Paar Jati Hai Kabhi Yeh Maar Jati Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai Mager Yeh Haar Jati Hai...!!!

Urdu Ghazals Collection Vol-2


Teri Wafa, Wafa Hai Kiya
Meri Muhabbat Kuch Bhi Nahi?

Tera Dard, Dard Huaa
Kiya Mera Zakham Kuch Bhi Nahi?

Tumhari Baat Pathar Pe Lakeer
Kiya Meri Elteja Kuch Bhi Nahi?

Tujh Me Aana Samandar Jaisi
Kiya Mera Maan Kuch Bhi Nahi?

Tera Gham, Gham Hoaa
Kiya Mere Aansu Kuch Bhi Nahi?

Tera Wajood Sab Kuch Hai
Aur Kiya Meri Hasti Kuch Bhi Nahi...???





Zinda Tha To Kisi Ne Na Pocha Haalat-E-Jigar
Abb Mar Gaye Hain To Mitti Me Dabanay Aagaye,

Chor Ke Dunya Ko Madhosh Huaye Thy Hum
Woh Na Janay Kya Soch Kar Humko Jaganay Aagaye,


Na Janay Kis Se Pocha Hai Wafa Na Pata Mera
Meri Qabar Pe Bhi Humko Jaganay Aagaye,

Hum To Andhere Me Sonay Ke Aadi They
Or Woh Bewafaa Meri Qabar Par Diye Jalanay Aagaye

Zinda Tha To Ek Nazar Na Dekha Piyar Se
Mar Gaye Hain To Ab Qabar Pe Aansu Bahany Aa Gaye...!!!




Yehi Wafa Ka Silaah Ha To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Ha To Koi Baat Nahi,

Yehi Bohot Ha K Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Ha To Koi Baat Nahi,

Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Ma Choopa K Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Ha To Koi Baat Nahi,

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Ha To Koi Baat Nahi,

Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana

Agar Yeh Tumne Kaha Ha To Koi Baat Nahi...!!!




Mera Sochna Teri Zaat Tak
Meri Guftagu Teri Baat Tak,

Na Tum Milo Jo Kabi Mujhey
Mera Dhondna Tujhay Paar Tak,

Maine Apna Sab Kuch Ganwa diya
Teri Nafraton Se Payar Tak,

Kbi Fursaten Jo Milen To Aa
Meri Zindagi K Hisaar Tak,

Maine Jana K Main Kuch Nahi

Teray Pehlay Say Teray Baad Tak...!!!




Barish-E-Sang-e-Malamat me Mharaboor Rahey
Harf aaye naa tujh par tujh sy Door Rahey,

Aatish-E-Qalb Bhujaney say kahan Bhujtey Hain
Dil Me Khawabeeda agar Yaad kay Sharor Rahey,

Natawaan Jism-O-Jaan, Dunyaa say woh Takkar Layna
Hum Issi Baat Pay had Darjaa Maghroor Rahey,

Dard Barh Jaye to khud Aap Marham Hotaa Hai
Suna jo Humny to Phir hum Bhi Zakham Choor Rahey,

Hansaty Rahtey hain Sar-E-Bazm, hay Aadat Apni
Hum to Woh Hain kay Dukh Uthaa kay Bhi Masroor Rahey,

Barh Gayi Had say Sharafat To Kuchlay Jao Gay
Yaad har Pal Tumhain Dunya Ka Yeh Dastoor Rahey,

Ghazal Me Haal jo Hum Apna Bayaan Kar Baithey

Es Dil Kay Hathon Bohat Majboor Rahey...!!!