Kachi Basti Ke
Baam-o-dar pay
Utarti jaary ki zard shamain,
Shafaq ki gehri udas aankhoun main
Dhery dhery simat'ta suraj
Main ballkony main sard hotay,
Golabi phoolon ko dekhta hon
Gharoun se uthty dhuwoun k badal
Fiza main tehleel ho rahy hain
Main sochta hoon,
Na jany aese udas mousam main tum kahn ho??
Chaly Bhi ao
Chaly Bhi ao,
Ke ab udasi ki shaal orrhay
Sisakty mehtaab ki nigahoun main
Yery jane ka dukh likha hai
Chale Bhi ao,
Ke ab to raahon main
Narm jugno bhi so gay hain
Chaly Bhi ao
Ke Roty Roty
Yeh Ansoun Pather Ke ho Gay Hain...!!!
No comments:
Post a Comment