Chalo kuch dair hanstey hain
Mohabbat per inayat per,
Ke be Bunyad batain hain,
Sabhi rishtay sabhi naatey,
Zarurat ki hain Ejaaden,
Kahin koi nahi marta kisi ke Wastay Jaana,
Ke sub hai phair lafzon ka,
Hai saara khel Harfon ka,
Na hai Mehboob koi bhi,
Mohabbat na Zmaney main,
Praey bhi hain phir apney,
Agr hai kuch Khzaney main,
Ke is Jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain,
Chalo kuch dair hanstay hain...
Usi ko Yad krtay hain,
Jisay hum Zeest kehtey thay,
Ke lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha,
Ke sung jis ke her ek lamha Khush-O-Khurm lagta tha,
Jisay hum zindgi kehtey,
Jisay thay sha'iry kehtey,
Ghazal ka Qafiya tha jo,
Nazm ka jo ke Unwan tha,
Woh lehja jb Bdalta tha Qyamat khez lagta tha,
Waqat say agay chalta tha,
Bla ka tez lagta tha,
Jo saya bun k rahta tha,
Juda ab is ke rastay hain....
Chalo kuch dair hanstay hain..
Chalo kuch dair hanstay hain...!!!
No comments:
Post a Comment