Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye




Jub tasawwur mera chhupkay se tujhe chhuu aaye
Apni har saans se mujh ko teri khushbuu aaye,

Mashgala ab hai mera chaand ko taktay rehna
Raat bhar chain na mujh ko kisi pehluu aaye,

Jub kabhi gardish-e-doura­an ne sataaya mujh ko
Meri jaanib tere phailay hooway bazoo aaye,

Jub bhi socha ke shab-e-hijr na hogi roshan
Mujh ko samjhanay teri yaad ke jugnuu aaye,

Mujh se milnay ko sar-e-shaam koi saaya sa
Tere aangan se chalay aur lab-e-juu aaye,

Os ke lehjay ka asar tou hai badi baat “Qateel”
Wo tou aankhon se bhi karta hoowa jadoo aaye.


0 comments :

Speak up your mind

Tell us what you're thinking... !