Ham nafas.. ik teri aarzu aur main,
Koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahin
Aaina hai mere rubaru aur main,
Jugnuon ki talab ka sila yeh mila
Teergi hai mere chaar su.. aur main,
Khwaab ki titliyan jab ureen aankh say
Reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur main,
Raat bhar jaagtay hain sitaron talay
Tera lehja.. teri guftagu.. aur main,
Aankh main khwaab ki kirchiyan reh gayeen
Hath main qismaton ka lahu.. aur main,
Sochti hoon, kahan jaoon, kis say kahoon
Shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur main,
Ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
Ik tere hijr ki aabju.. aur main,
Daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
Ro diye hain.. teri aarzu.. aur main,
Raig-e-sehra huwe hain tere ishq main
Mere aihsaas ki aabru.. aur main,
Mere saahir.. bichartay samay reh gayeen
Teri aankhaiN mere chaar su.. aur main,
Kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
Aur koi na ho.. sirf tu.. aur main,
Aks-e-janan kii khair ho rabba
Khawab aankhon samait toota hay.
No comments:
Post a Comment