Thursday, 28 February 2013
Ya Zamany Ki Wafayain Maray Kaam Ki Nahi
Ya Zamany Ki Wafayain Maray Kaam Ki Nahi
Mujhy Us Ki Wafa Chahiay kisi Aam Ki Nahi,
Us Ke To Aik Muskurahat Bhe Aam The
Ya Tammam Muskurahatan Kisi Daam Ki Nahi,
Mujhy Gham Hai To Us Kay Chin Jany Ka Hai
Parwah Muh Per Lagay Ilzam Ki Nahi,
Mera Haath Dakh Kar Najoomi Ya Bola
Bohat Se Chahatan Hain Taray Liay BAqi LAkin,
Tearay Haath Main Koi Bhe Lakeer Us Kay Naam Ki Nahi...
Meri Tanhai Barhate Hain Chale Jate Hain
Meri tanhai barhate hain chale jate hain,
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,
Is liye ab mein kisi ko nahin jane deti,
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,
Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,
Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,
Aap aate hain rulate hain chale jate hain,
Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,
Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,
Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,
Aap to aag lagate hain chale jate hain,
Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,
Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain....
O Bewafa Mujh Se Bichara To Door Hat Ke Roya
O Bewafa mujh se bichara to door hat k roya,
Na jane keyo o Apno me palat k roya,
yad Aaye usko jab mere guzre huye bate,
Pagla mere khat pad pad k roya,
Suna tha mera naam likh kar apne hatho par,
Usko pad pad k roya,
O mere pyar me kush rahne wale,
Kal kisi k bajuo me simat k roye,
Jab hum sa hamdard na mila usko to,
Sadi k din v darwaze se lipat lipat k roya..
Hum Nazuk Nazuk Dil Walay
Hum nazuk nazuk dil walay
Bas aisay hi to hotay hain,
Kabhi hasty hain kabhi rotay hain
Kabhi dil main khuwab piroty hain,
Kabhi mehfil mehfil phirty hain
Kabhi zat main tanha hoty hain,
Kabhi chup ki mohr lagaty hain
Kabhi geet labon per laty hain,
Kabhi sab ka dil behlaty hain
Kabhi khud hi tanha hoty hain,
Kabhi shab bhar jagty rehty hain
Kabhi lambi taan k soty hain,
Ham nazuk nazuk dil walay
Bas aisay hi to hoty hain.
Sabhi Insan Hain Magar
Sabhi insan hain magar
Faraq sirf itna hay
Kuch zakham dety hain
Kuch zakham bharty hain
Humsafar
Boht hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch sath dety hain
Kuch chor dety hain
Piyar
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch jaan dety hain
Kuch jaan lety hain
Dosti
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch loog nibhatay hain
Kuch loog aazmatay hain.
Khizan Key Zard Mosam Main
Khiza'an key zard mosam main
Kisi veraan sey pal ki,
Buhat gehri khamoshi mein,
Thetharti, kapkapaati raat ki aaghosh mein simty,
Kisi be,rfaab lamhy ki yakh basta si tanhae mein,
Kabhi jo mein bikhri yaadon ko samaitna chahon.
Key phir se tum ko dekhna chahon,
Tou dil-e-nada'an ki is masoom si khawhish per,
Yeh aankhein muskuraati hein
Key yeh dard seh na paati hein.
Aur phir
Wo barsaat hoti hy
Jo daman ko bhigoti hy
Buhat baymol hoti hy.
Tum To Hansti Ho To Pholon Ki Ada Lagti Ho
Tum jo hansti ho to pholon ki ada lagti ho
Or chalti ho to ik bad-e-saba lagti ho,
Dono hathon mein chupa laiti ho apna chehra
Mashriqi hoor ho dulhan ki haya lagti ho,
Kuch na kehna mere kandhe pe jhuka kr sar ko
Kitni masom ho tasvir e wafa lagti ho,
Bat krti ho to sagar se khanak jate hain
Leher ka geet ho koyal ki sada lagti ho,
Kis taraf jaogi zulfon k ye badal le kr
Aj machli huvi sawan ki ghata lagti ho,
Tm jise daikh lo pine ki zarurat kya hai
Zindagi bhar jo rahe aisa nasha lagti ho,
Mein ne mehsos kiya tm se do baten kr k
Tm zamane mein zamane se juda lagti ho.
Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Diloan Ke Deep Jalte Hain Charagh-E-Shaam Se Pahle,
Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle,
Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle,
Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut-Te Honge
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle,
Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle,
Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad Ihtiyatan Ham
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle.
Yeh Kesa Khauf Tha Rakht-e-Safar Bhi Bhool Gaye
Yeh kesa khauf tha rakht-e-safar bhi bhool gaye
Vo kaun log thay jo apnay ghar bhi bhool gaye,
Yeh kesi quvvat-e-parvaaz darr ne paida ki
Parinday urrtay huay apnay parr bhi bhool gaye,
Dukhon ne cheen lee aankhon ki saari beenaayee
Hum us ka sheher to kiya, rahguzar bhi bhool gaye,
Khayaal tha ke sunaayen ge haal-e-dil lekin
Hum us ke saamnay Arz-e-hunar bhi bhool gaye,
Juda huay to khula hai tumhaari basti mein
Hum aik dil he nahin, chashm-e-tarr bhi bhool gaye.
Tuesday, 26 February 2013
Yeh Zamane Ki Wafaein Mary Kaam Ki Nahi
Ye Zamane Ki Wafaein Mary Kaam Ki Nahi,
Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi,
Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi,
Ye Tamam Muskurahatein Kisi Daam Ki Nahi,
Mujhe Gham Hai To Uske Chin Jane Ka Hai,
Parwah Mujh Par Lage Ilzaam Ki Nahi,
Mera Haath Dekh Kar Najumi Ye Bola,
Bohat Si Chahatein Tere Liye Hain Baqi Lekin...?
Tere Haath Mein Koi Bhi Lakeer Uske Naam Ki Nahi..!
Mujhe Be Khudi Ki Hai Arzo Mujhe Qurbato Ka Khumar Day
Mujhe Be Khudi Ki Hai Arzo Mujhe Qurbato Ka Khumar Day
Mere Ang Ang Mein Yon Utar Kay Mujhi Mein Khud Ko Utar Day
Tu Jo Por Por Mein Bus Gaya Tu Hai Doriyon Ka Jawaz Kaya?
Meri ZIndagi Mere Pass Aa Meri Be Kali Ko Nikhar Day
Meri Zindagi Pay Moheet Hein Wohi Wahshatain Wohi Doriyan
Main Khiza Raseeda Si Shaam Hon Mujhe Apne Rukh Ki Bahar Day
Meri Be Basi Hai Baja Magar Mere Shoq Ka Bhi Hisab Ker
Mein Saya Naseeb Jo Hon Agar Tu Mera Naseeb Sanwar Day
Hai Nazar Nazar Teri Justju Tu Meri Wafa Ki Hai Abro
Kabhi Yon Bhi Ho Mere Rubaro Mujhe Jaan Se He Guzar Day
Mujhe Is Trah Se Tu Yaad Aa Teri Yaad Ko Bhi Guma Na Ho
Tu Mere Khayal Mein Yon Sama Mera Harf Harf Nikhar Day...
Gumsum Si Rehguzar Thi Kinara Nadi Ka Tha
گم سم سی رہگزر تھی ، کنارہ ندی کا تھا
پانی میں چاند ، چاند میں چہرہ کسی کا تھا
اب زندگی سنبھل کے لیتا ہے تیرا نام
یہ دل کے جس کو شوق کبھی خودکشی کا تھا
کہنے کو ڈھونڈتے تھے سبھی اپنے خد و خال
ورنہ میری غزل میں تو سب کچھ اسی کا تھا
مشکل کہاں تھے ترک محبت کے مرحلے
اے دل مگر سوال تیری زندگی کا تھا
وہ جس کی دوستی ہی متاع خلوص تھی
محسن وہ شخص بھی میرا دشمن کبھی کا تھا
Btao Kon Tha Kesa Tha Jis Se Silsla Thehra
بتاؤ کون تھا ، کیسا تھا جس سے سلسلہ ٹھہرا؟
کہا کر کے وفا کا خون آخر بے وفا ٹھہرا
بھلا پھولوں سے بھنورے کس زباں میں بات کرتے ہیں؟
کہا، خوشبو سے خوشبو کا انوکھا رابطہ ٹھہرا
ذرا بتلاؤ اِک انجان پر اتنی عنایت کیوں؟
کہا، دل کے صحیفے میں یہی تو معجزہ ٹھہرا
سنو کیسا لگا اس شخص سے ملنا ، بچھڑ جانا؟
ملا تو اجنبی تھا وہ ، بچھڑ کر آشنا ٹھہرا
بھلا محبوب سو پردوں میں بھی کیونکر نمایاں ہے ؟
ازل سے تا ابد دل کے ، وہ کعبے کا خدا ٹھہرا
پلٹ کر ہر طرف سے کیوں نظر اس شخص پر ٹھہری؟
.................وفا کے سلسلوں کی وہ ، مسلسل انتہا ٹھہرا
Woh Jo Dawedar Hai Shehr Me Keh Subhi Ka Nabz Snash Hun
وہ جو دعویدار ھے شہر میں کہ سبھی کا نبض شناس ھوں
کبھی آ کے مجھ سے تو پوچھتا کہ میں کس کے غم میںاداس ھوں
یہ مری کتاب حیات ھے اسے دل کی آنکھ سے پڑھ ذرا
میں ورق ورق ترے سامنے ترے روبرو ترے پاس ھوں
یہ تری امید کو کیا ھوا کبھی تو نے غور نہیں کیا
کسی شام تو نے کہا تو تھا تری سانس ھوں تری آس ھوں
یہ تری جدائی کا غم نہیں کہ یہ سلسلے تو ھیں روز کے
تری ذات اس کا سبب نہیں کئی دن سے یونہی اداس ھوں
کسی اور کی آنکھ سے دیکھ کر مجھے ایسے ویسے لقب نہ دے
ترا اعتبار ھوں جان من نہ گمان ھوں نہ قیاس ھوں
Na Khat Likhon Na Kalam Tujhse Rahy
نہ خط لکھوں نہ قلم تُجھ سے رہے
خاموشیوں کا یہی انتقام تجھ سے رہے
رہے بَس اتنا شناسائی کا بھرم باقی
اشارہ تن ہی دُعا و سلام تجھ سے رہے
نہ عہد تَرکِ تعلق نہ قربتیں پَہیم
بس اِک ربط مسلسل مادام تجھ سے رہے
یہی رہے تیرا نشتر تیرا طریقے علاج
اِسی طرح غَمِ دل کو دوام تجھ سے رہے
نظر میں عکس فِشاں ہو تیرے جمال کی دھوپ
دیارِ جان میں صدا رنگ شام تجھ سے رہے
اب سے بڑھ کے مجھے چاہیے بھی کیا آخر
دیارِ فن میں اگر میرا نام تجھ سے رہے
Monday, 25 February 2013
Mosam Mosam Lagtey Ho
Mosam Mosam Lagtey Ho
Jo Pal Pal Rang Badltey Ho ,
Tum Sawan Sawan Lagtey Ho
Jo Sadiyon Baad Barstey Ho ,
Tum Sapna Sapna Lagtey Ho
Jo Mujh Ko Kam Kam Dikhtey Ho .
Tum Pal Pal Mujh Sey Larrtey Ho
Phir Bhi Achey Lagtey Ho ,
Baat Tu Hay Sharmili si
Par Kehny Ko Dil Chahta Hay ,
Lo Aaj Tumhein Yeh Keh Dala
Tum Apny Apny Lagty Ho.....
Ham Nafas Ik Teri Aarzu Aur Main
Ham nafas.. ik teri aarzu aur main,
Koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahin
Aaina hai mere rubaru aur main,
Jugnuon ki talab ka sila yeh mila
Teergi hai mere chaar su.. aur main,
Khwaab ki titliyan jab ureen aankh say
Reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur main,
Raat bhar jaagtay hain sitaron talay
Tera lehja.. teri guftagu.. aur main,
Aankh main khwaab ki kirchiyan reh gayeen
Hath main qismaton ka lahu.. aur main,
Sochti hoon, kahan jaoon, kis say kahoon
Shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur main,
Ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
Ik tere hijr ki aabju.. aur main,
Daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
Ro diye hain.. teri aarzu.. aur main,
Raig-e-sehra huwe hain tere ishq main
Mere aihsaas ki aabru.. aur main,
Mere saahir.. bichartay samay reh gayeen
Teri aankhaiN mere chaar su.. aur main,
Kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
Aur koi na ho.. sirf tu.. aur main,
Aks-e-janan kii khair ho rabba
Khawab aankhon samait toota hay.