Latest
Home
/
Posts filed under
Sad Urdu Shayari
Showing posts with label Sad Urdu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Sad Urdu Shayari. Show all posts
Sad Love Shayari SMS in Urdu with Art Images
Chasham-e-Numm Dhoond Rahi Hai Tumko,
Kaash Dunya Me Tum Hi Tum Hoty...!!!
Hum Anjuman Me Sabb Ki Taraf Dekhty Rahy,
Apni Tarha Se Koi Akela Nahi Mila...!!!
Kis Tarha Dil Sy Baghawat Ka Iraada Kr Lun,
Jaanta Hun Yeh Teri Baat Mein Aa Jata Hai...!!!
Meri Ankhon Sy Koi Neend Liey Jata Hai,
Ek Taswur Hai Jo Madhoosh Kiaey Jata Hai...!!!
Taabeer Kis Ko Dhondny Aai Hai Abb Yahan,
Aankhon Ke Saary Khwaab To Kab Ke Nahi Rahy...!!!
Tamaam Umrr Ki Aawargi Pe Bhaar Hai,
Woh Aik Shabb Jo Teri Yaad Me Guzari Hai...!!!
Aap Pehlu Me Jo Bathain To Sambhal Kar Bathain,
Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jany Ki...!!!
Abb Tumko Bhool Jany Ki Koshish Karingy Hum,
Tumsy Bhi Ho Saky To Na Aana Khyaal Me...!!!
Chaand Dilkash Hai Manta Hun Magar,
Husn-e-Jaana Se Haar Jayegaa...!!!
Tum Sy Kia Shikwa Tum Se Shikayat Kaisi,
Eid Ka Kia Hai Yeh Har Saal Chali Aati Hai...!!!
Photosz.Com
22:38
Sad SMS Shayari In Hindi on Love
Chord Diya Aitbar Karna Kismat
Ki Lakeron Pe Jab Samjhe Ke...
Jo Dil Me Bas Jaye Woh
Hath Ki Lakeron Me Nahi Hote...!!!
Woh Aisa To Nahi Lagti Tha Ke
Kabhi Mujhe Chor Kar Chala Jayega,
Zaroor Koi Aaya Hoga Uski
Zindgi Me Mujhse Behtar...!!!
Ankhoon Se Q Aansu Jhalak Jate Hain
Tanhaiyon Me Q Ghum Yaad Atey Hain,
Aansu Ponch Kar Koi Yeh To Bata De Humain
Rulaney Wale Hi Aksar Q Yaad Atey Hain...??
Kisi Ki Yaad Ko Dil Me Basa Ke Roye
Kisi Ki Tasveer Ko Seeney Se Laga Ke Roye,
Jo Wada Kia Tha Hum Ne Kisi Se
Hum Us Wady Ko Nibha Ke Roye,
Jis Shakhs Ko Hamari Zaroorat Nahi Thi
Hum Us Shakhs Ko Apni Aarzu Bana Ke Roye,
Jis Ne Hamain Apne Qadmoon Taley Bhi Jaga Na Di
Hum Use Apni Palkoon Par Bithaa Ke Roye...!!!
Humne Mana Ke Humain Zindagi Samajte Ho
Log Kehte Hain Tumhain Zindagi Se Piyar Nahi...!!!
Bohot Mushkil Se Hota Hai
Teri Yaadoon Ka Karobaar,
Munafa Kam Hai Lekin
Guzara Ho Hi Jata Hai...!!!
Bahana Q Talash Kartey Ho Masroof Hony Ka,
Bas Itna He Keh Diya Karo Ke Ab Dil Me Jaga Nahi Rahi...!!!
Saahil Pe Baithe Lehar Dekhte Rahe
Kab Badlegi Unki Nazar Dekhte Rahe,
Loog Kehte Hain Woh Hamari Kismat Me Nhi
Hum Umra Bhar Apni Duwaoon Ka Asar Dekhte Rahe...!!!
Meri Haisiyat Ka Andaza Tum Yeh
Jaan Ker Laga Lo Gay,
Hum Unke Kabhi Nahi Hotay
Jo Har Kisi Ke Ho Jayein...!!!
Jaa Teri Nazron se Ab Maine Mounh Morr Liya
Teri Khushi Ke Liye Ab Maine Tujhe Hi Chor Diya...!!!
Ajeeb Si Adat Aur Ghazab Ki Fitrat Hai Apni,
Muhabbat Ho Ya Nafrat, Bohat Shiddat Se Kartay Hain...!!!
Photosz.Com
00:47
Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyo Main Raqs Karti Hai
Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyo Main Raqs Karti Hai,
Tere Gham Main Sulagti Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain.!
Photosz.Com
00:55
Phir Jaag Utha Hain Dil Mein Puraney Dinoon Ke Dard
Phir Jaag Utha Hai Dil Mein Puraney Dinon Ka Dard,
Jee Chahta Hai Kr Phir Koi Taaza Ghazal Likhon...!!!
Photosz.Com
00:34
Har Roz Koi Khuwaab Toot Jaata Hai
Har Roz Koi Khuwaab Toot Jaata Hai
Har Roz Koi Apna Rooth Jaata Hai,
Na Jany Meri Qismat Main Kya Hai
Jisay Mein Yaad Karon Wohi Mujhe Bhool Jata ..!
Photosz.Com
00:12
Hath Se Hath Churaney Lage Ho
Hath Se Hath Churaney Lage Ho
Mujhko Pathar Ka Banane Lage Ho,
Zara Thehro Mein Yakeen Tou Kar loon..
Tum Mujhe Chor Kar Janey Lage Ho..!
Photosz.Com
22:44
Dil Hua Zakhmi Magar Kisi Ko Khabar Nahi
Dil hua zakhmi magar kisi ko khabar nahi
Meri chahaton ka uspar koi asar nahi,
Ho ke juda tum se ek shakhs mar jayega
Sun kar us ne kaha ye koi buri khabar nahi…!!!
Photosz.Com
22:40
Random






























