Latest
Showing posts with label R. Show all posts
Showing posts with label R. Show all posts

Urdu Roothna Shayari with Hindi Text Roothny Waly Bata Kaisy Manain Tujhko Images



Roothny Waly Bata Kaisy Manain Tujhko,
Muskura De Ke Bass Ab Jaan Pe Bann Aai Hai...!!!

،روٹھنے والے بتا کیسے منائیں تجھ کو
!!!...مسکرا دے کہ اب جان پہ بن آی ہے

रूठने वाले बता कैसे मनाएं तुझ को،
मुस्करा दे के अब जान पे बन आयी है...!!!


Ruthega To Manayga Kon Mujse Behtar Tujhe Chahega Kon



Ruthega to manayga kon
Mujse behtar tuje chahega kon?

Ashqon ki aag se pighalne ka darr
Ab Moom ka Ghar banayga kon?

Tu bhi hai dil bhi hai Or meri Laash bhi
Faisla hona hai ke Isay Jalayga kon?

Chup tu Rahe, Chup Main Rahu Zalim
Phir Ishq-E-Ikrar ka Beeraa Uthayga kon?

Palkain Bewfaion se khuli Rhti hai Meri
Ab Nendon me Khwabon ko Satayga kon?

Kafi hai k log teri yad me kho hai
Maine bhi Yaad rakhi To Bhulayga kon...!!!



Raat Humain Kuch Yaad Nahin Tha





Raat Humain Kuch Yaad Nahin Tha
Raat Bohot Hi Yaad Aaye Ho,

Humsey Na Poocho Hijr Key Qissey
Apni Kaho Ab Tum Kaisey Ho...!!!


Roye Gi Woh Iss Taraha Meri Laash Se Lipat Kar




Roye Gi Wo Iss Taraha Meri Laash Se Lipat Kar,

Agar Pehle Pata Hota Toh Hum Kab Ke Mar Jaate...!!!


Ro Ro kar Dhoonda Karo Gy aik Roz Mere Khuloos Ko





Ro Ro kar Dhoonda Karo Gy aik Roz
Mere Khuloos Ko,

"Ae Naadan"

Chala jaon ga mein aik din
kisi khobsorat kafan ka naseeb ban
kar....!!!

Rakha Hai Dil Me Humne Bary Ehtram Sy



Rakha Hai Dil Me Humne Bary Ehtram Sy,

Jo Gham Diya Hai Tumne Muhabbat Ke Naam Se...!!!


Rone Se Nahi Hasil Kuch Ey Dil-E-Soodai Aankhon Ki Bhi Barbadi Daman Ki Bhi Ruswai



Rone Se Nahi Hasil Kuch Ey Dil-E-Soodai
Aankhon Ki Bhi Barbadi Daman Ki Bhi Ruswai,

Hum Loog Samandar Ke Bichrey Huey Sahil Hain
Is Paar Bhi Tanhai, Us Paar Bhi Tanhai...!!!


Raat Ko Phir Yaad Ne Cheen Liaey Hosh-O-Hwas



Raat Ko Phir Yaad Ne Cheen Liaey Hosh-O-Hwas,

Fanna Ho Jaingy Hum Agar Yahi Silsala Raha...!!!


RABB-E-KAENAAT Ek Hi Hai Dunya Ke Firono Se Dar Kesa



RABB-E-KAENAAT Ek Hi Hai,
Dunya Ke Firono Se Dar Kesa...!!!


Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya




Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bohat kuch jala ke dekh liya,

Aur kya dekhne ko baaki hai
Aap se dil laga ke dekh liya,

Aas uss dar se toot'ti hi nahin
Ja ke dekh liya, na ja ke dekh liya,

Woh mere ho ke bhi mere na huye 
Unnko apna bana ke dekh liya,

Aaj unnki nazar mein kuch humne 
Sab ki nazrein bacha ke dekh liya,

Takmeel-e-gham bhi ho na saki
Ishq ko aazma ke dekh liya...!!!


Rait Ki Taraha Muthi Se Phisal Jaate Hai Yeh Sunhere Pal



Rait Ki Taraha Muthi Se Phisal Jaate Hai Yeh Sunhere Pal,

Hath Me Reh Jati Hai Bas Rait Ki Chamkili Chubhan...!!!


Rasta Aisa Dhi Dushwar Na Tha




Rasta aisa bhi Dushwar na tha
Bus Tum ko Hamari Chahat Pe Aitbar na tha,

Tum hi Chal na sakey Hamare sath
Warna Hamein to Jaan denay se bhi Inkar na tha..!!


Raat Ko Jab Hum Ne Ankhain Band Ki To




Raat Ko Jab Hum ne Ankhain Band Ki To
Aap Humain Sab se Khush Nazar Aaye,

Yeh Tariqa Hai agar Apko Khush Dekhne Ka,
To KHUDA Kare Yeh Ankhain Sada Ke Liye Band Ho Jain..


Rakh Mere Haath Par Apne Haath Ka Bharosa




Rakh Mere Haath Par Apne Haath Ka Bharosa,

Ke Ab Ke Hum Bichrain Toh Maut Aa Jaye ....


Rasam-E-Dunya Hai Baki Bass Dafnane Ki Abbas



Rasam-E-Dunya Hai Baki Bass Dafnane Ki
"Abbas"
Warna Mujood Hai Mujhme Har Nishani BeJaan Ki...



Raat Us Ne Pocha Tha Tum Ko Kaisi Lagti Hai Chandni December Ki




Raat Uss ne Poocha tha Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki!

Main ne Kehna Chaha Tha:Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani?

Chahey koi Manzir ho Dasht ho, Sumnadar ho
June ho, December ho,

Dharkanoon ka Har Naghma Manzaroon pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho,

Dil ko Ik Sahara ho Aisa Lagta hai, jaise Ik Nasha sa Taari hai
Lakin Uss ki Qurbat mein,

Kuch Nahi Kaha Main ne Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki...


Ranj Hai Ya Bebasi Hai Jo Bhi Hai Bass Musalsal Hai





Ranj hai yan bebasi hai
Jo bhi hai

"Bass"

Musalsal hai

 ملی ھےتمکو بھی تاعمرجاگنے کی سزا؟
ھمیں بھی نیند نہیں آئی اک زمانے سے



Raat Darwaze Ki Dastak Pe Dhyan Na Diya



Raat Darwaze Ki Dastak Pe Dhyan Na Diya,

Subah Joh Pairon Ke Nishan Dekhe To Bahut Roye..!!


Rooh-E-Wafaa Ke Darakht Aur Bewafaai Ka Paani




Rooh-e-wafaa Ke Darakht Aur Bewafaai Ka Paani,

Mere Badan Par Zakhm Uhi Nikal Aatey Hain.



Raat Ki Meharban Fiza Ki Tarah




Raat Ki Meharban Fiza Ki Tarah
Koi To Dondta Hawa Ki Tarah

Ab Teri Yaad Yad Ati Hai
Muje Ko Bholi Hoi Qaza Ki Tarah

Kiya Koi Itna Pyaar Karta Hai
Koi Hota Hai Kiya Khuda Ki Tarah

Shehar Mein Aap Ki Zaroorat Thi
Gum Hoa Aap B Wafa Ki Tarah

Ghonjta Hai Kabi Kabi Farhat
Meray Andar Koi Khala Ki Tarah.


Random