Latest
Showing posts with label J. Show all posts
Showing posts with label J. Show all posts

Hindi Love Mulaqaat Shayari Jiski Taabeer Tera Milna Ho Meri Aankhoon Me Bhi Woh Khaab Aaey



Jiski Taabeer Tera Milna Ho,
Meri Aankhoon Me Bhi Woh Khawab Aaey...!!!

جــس کی تـعـبـیـر تـیـرا مـلـنـا ہـو
میری آنکھوں میں بھی وہ خواب آئے

जिसकी ताबीर तेरा मिलना हो,
मेरी आँखों में भी वो ख्वाब आये...!!!


Urdu Hindi Yaad Shayari Jab Tujhe Yaad Kar Liya Subha Mehak Mehak Uthy Images



Jab Tujhe Yaad Kar Liya
Subha Mehak Mehak Uthy,

Jab Tera Gham Jaga Liya
Raat Machal Machal Gaey...!!!

جب تجھے یاد کر لیا
،صبح مہک مہک اٹھے 

جب تیرا غم جگا لیا
!!!...رات مچل مچل گئے

जब तुझे याद कर लिया
सुबह महक महक उठे,

जब तेरा ग़म जगा लिया
रात मचल मचल गए...!!!


Jab Bhi Dil Khool Ke Roye Honge Loog Aaraam Se Soye Honge



Jab Bhi Dil Khool Ke Roye Honge
Loog Aaraam Se Soye Honge,

Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhi Roye Honge,

Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge,

Woh Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge...!!!

Kya Ajab Hai Woh Milay Bhee Hon “Faraz
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge...!!!


Jany Kab Tak Teri Tasveer Nigahon Me Rahi Ho Gai Raat Tere Aks Ko Takty Takty


Jany Kab Tak Teri Tasveer Nigahon Me Rahi,
Ho Gai Raat Tere Aks Ko Takty Takty...!!!


،جانے کب تک تری تصویر نگاہوں میں رہی
!!!...ہو گئی رات تیرے عکس کو تکتے تکتے

जाने कब तक तेरी तस्वीर निगाहों में रही,
हो गयी रात तेरे अक्स को तकते तकते...!!!


Jugnu Ko Qaid Kar Ke Muskaraya Na Karo



Jugnu Ko Qaid Kar Ke Muskaraya Na Karo
Roshni Ki Khatir Kisi Ka Dil Jalaya Na Karo,

Sitam Karna Hai Karo Par Itna Na Karo!
Yaad Nahi Karsakte To Yaad Aaya Na Karo...!!!


Jiska Kirdaar Sitaron Ki Tarah Roshan Ho



Jiska Kirdaar Sitaron Ki Tarah Roshan Ho,

Kitna Dushwaar Hai Us Shakhs Ko Jakar Milna...!!!


Jitni Shidat Se Mujhe Zakhm Diye Hain Us Ne



Jitni Shidat Se Mujhe Zakhm Diye Hain Us Ne,

Itni Shidat Se To Maine Use Chaahaa Bhi Nhi Tha...!!!


Jisne Humain Chaha Use Hum Chah Na Sake Jisko Humne Chaha Use Hum Pa Na Sake



Jisne Humain Chaha Use Hum Chah Na Sake
Jisko Humne Chaha Use Hum Pa Na Sake,

Yeh Samajh Lo Dil Totne Ka Khel Hai
Kisi Ka Torda, Aur Apna Bacha Na Sake...!!!



Just To Let My Emotions Out



Just To Let My Emotions Out

I try to reach out
Just to be hurt in the end
I try to forget
Just to keep my myself whole

I try to stoop down
Even if I know I will be the one
To be miserable
To be emotionally unstable
To be sad
To be that one girl who longs for your touch

I know, I know
I must keep forward
Without you
Without you by my side

I have to accept that
I have to move on
And forget you

And how exactly do I do that?

When I remember you always.

When I receive a text,
I still hope it comes from you
When I read a book,
I think about you, too.
When I see a couple,
I just look away,
And think it must have been once us,
Sweet and happy.

Now I try to move on.
I really do.
I just hope I’ll have that consistency to go on
To accept the fact that you’re no longer on my side
That you’re no longer willing to be in our relationship
That you’re no longer aching to see me, to text me,
to ask me how do I do after a long day.
And,

Maybe one day,
That you’re no longer in love with me...!!!



Jaatay Howay Yaqeen Ki Daulat Woh Le Gaya



Jaatay Howay Yaqeen Ki Daulat Woh Le Gaya,

Ik Weham Aur Gumaan Mere Paas Reh Gaya...!!!



Jigar Ka Dard Badhta Jaa Raha Hai Muhabbat Ka Maza Ab Aaraha Hai



Jigar Ka Dard Badhta Jaa Raha Hai,

Muhabbat Ka Maza Ab Aaraha Hai...!!!



Jis Ki Mutthi Me Jaan Thi Apni



Jis ki Mutthi me Jaan thi Apni
Us Par karna Parda Bharosa Bhi,

Teri Kashti ki Kajadayi Me
Doob Jaye Na Ab Kinara Bhi,

Faasla Phir bhi Faasla hi Raha
Chaand ko Thaal Me Utara Bhi...!!!



Jaan Se Bhi Zyada Unhe Piyar kiya Karte The



Jaan se bhi zyada unhe Piyar kiya Karte The,
Yaad unhe din Rat kiya Karte The,

Ab Un Raho se Guzra nahi Jata,
jaha Baith kar unka Intezaar kiya Karte The...!!!!



Jis Jaga Log Apni Yaadein Dafna Sakein



Jis Jaga Log Apni Yaadein Dafna Sakein,

Shehar Me Aisa Bhi Qabristan Hona Chahiye...!!!


Jo Dil Se Karib Ho Use Rusva Nahi Karte




Jo Dil Se Karib Ho Use Rusva Nahi Karte
Yun Apni Muhabbat Ka Tamasha Nahi Karte,

Khamosh Rahenge To Ghutan Aur Badhengi
Apnon Se Koi Baat Chupaya Nahi Karte...!!!


Jo Bhi Manga Wahi Manga Jo Muqaddar Me Na Tha



Jo Bhi Manga Wahi Manga Jo Muqaddar Me Na Tha,

Apni Har Ek Tamanna Se Shikayat Hai Mujhe...!!!


Jo Baat Hum Keh Nahi Sakty Usy Hum Farz Karty Hain



Jo Baat Hum Keh Nahi Sakty Usy Hum Farz Karty Hain,

Chalo Hum Farz Karty Hain Humain Tumse Muhabbat Hai...!!!


Jazba Ishq Alfaaz Ka Mohtaj To Hai Lekin



Jazba Ishq Alfaaz Ka Mohtaj To Hai Lekin,

Jo Alfaaz Me biyan Ho Woh Muhabbat Nahi Hoti...!!!


Jawe To Bepanah The Is Qaenaat Me Zaid



Jawe To Bepanah The Is Qaenaat Me, Zaid,

Yeh Aur Baat Hai Ke Nazar Tum Pe Ruk Gai...!!!


Jalaaton Ke Silsale Soz-E-Nihaan Tak Aagae Zaid



Jalaaton Ke Silsale Soz-E-Nihaan Tak Aagae, Zaid,

Hum Nazar Tak Chahte The Tum To Jaan Tak Aagae...!!!


Random