Latest
Home
/
Posts filed under
Dil
Showing posts with label Dil. Show all posts
Showing posts with label Dil. Show all posts
Sochta Hon Shehr-E-Khamoshan Me Do Gazz Zamin Lekar Zameendaar Ho Jaon
Sochta Hon Shehr-E-Khamoshan Me Do Gazz Zamin Lekar Zameendaar Ho Jaon,
Mehnga Pardta Hai Aaj Kal Tere Dil Me Rehna...!!!
Photosz.Com
02:56
Jisne Humain Chaha Use Hum Chah Na Sake Jisko Humne Chaha Use Hum Pa Na Sake
Jisne Humain Chaha Use Hum Chah Na Sake
Jisko Humne Chaha Use Hum Pa Na Sake,
Yeh Samajh Lo Dil Totne Ka Khel Hai
Kisi Ka Torda, Aur Apna Bacha Na Sake...!!!
Photosz.Com
02:45
Aag Dil Me Lagi Jab Wo khafa Huay Mehsoos huaa Tab, Jab Woh Judaa Huay
Aag Dil Me Lagi Jab Woh khafa Huay
Mehsoos huaa Tab, Jab Woh Judaa Huay,
Kar Ke Wafa Kuch De Na Sake Woh
Per Bohat Kuch De Gaye Jab Woh Bewafa Huay...!!!
Photosz.Com
02:40
Kuch Umer Ki Pehli Manzil Thi Kuch Raste They Anjaan Bohat
Kuch umer ki pehli Manzil thi
Kuch Raste they Anjaan bohat,
Kuch hum bhi pagal Pagal they
Kuch woh bhi they naadan bohat,
Kuch us ne bhi na Samjhaya
Yeh Piyar nahi Aasan bohat,
Aakhir hum ne bhi Khail liya
Jis khail mein they Nuqsaan bohat,
Jab Bikher gaye tab yeh jana
Aatay hain yahan Toofan bohat,
Ab koi nahi jo Apna ho
Milne ko to hain Insaan bohat,
Ay kaash wo Wapis aa jaye
Yeh Dil hai ab Sunsaan bohat,
Photosz.Com
02:18
Dard Tha Dil Me Par Kabi Dikhaya Nahi
Dard Tha Dil Me Par Kabi Dikhaya Nahi
Aansu Thy Aankhon Me Par Kabi Roye Nahi,
Yehi Farq Hai Dosti Or Piyar Me
Ishq Ne Kabi Hansaya Nahi Or Doston Ne Kabi Rulaya Nahi...!!!
Photosz.Com
02:06
वो मौजूद है आज भी इस दिल के कोने में कही
वो मौजूद है आज भी, इस दिल के कोने में कही,
एक बार इस दिल के करीब, आकर तो देखो,
बहुत मासूम सी सिसकिया ले रहा, ये नादान,
एक बार इस दिल को, दिल से लगा के तो देखो...!!!
Photosz.Com
00:44
Pas Aa Zara Dil Ki Baat Batau Tujhko
Pas Aa Zara Dil Ki Baat Bataon Tujhko
Kaise Dharkta Hai Dil, Aawaz Sunaon Tujhko,
Aake To Dekhle Dil Pe Naam Likkha Hai Tera
Agar Tu Kahe To Dil Cheer Kar Dikhaon Tujhko,
Jitna Jalaya Hai Tune Piyar Me Mujhko
Dil To Karta Hai Me Bhi Jalaun Itna Tujhko...!!!
Photosz.Com
02:01
Dekhtey Hain Ab Toordney Ka Hunar Kis Pe Aazmaaogey
Dekhtey Hain Ab Toordney Ka Hunar Kis Pe Aazmaaogey,
Yahan Ek Haatheyli Par Dil Hai Ek Hatheyli Par Waada...!!!
Photosz.Com
23:12
Musalsal Poochnay Par Aik Chilman Se Jawab Aaya
Musalsal Poochnay Par Aik Chilman Se Jawab Aaya,
Yahan Ik Dil Shikasta Sahib-E-Deewan Rehta Hai...!!!
Photosz.Com
22:56
Paaniyon Me Jo Aks Girta Hai Phir Uthaane Se Kab Ubahrta Hai
Paaniyon me jo Aks Girta Hai
Phir Uthaane se Kab Ubahrta Hai
Dard-E-Dil Aap ne Diya hai Mujhe
Ab Yeh Gazalon Me Dhal Nikharta Hai,
Reh Gai Cheekh Kar koi Hasrat
Yun Bhala Shair Kab Sanwrta Hai...!!!
Photosz.Com
22:29
Piyar Me Koi Dil Toord Deta Hai
Piyar me koi dil toord deta hai
Dosti me koi to Bharosa Toord deta hai,
Zindagi jina to koi Gulaab se sikhe
Jo khud Toot kar do dilon ko Joord deta hai...!!!
The Things That Always Breaks My Heart.....
Photosz.Com
23:23
Random



















