Latest
Showing posts with label D. Show all posts
Showing posts with label D. Show all posts

Urdu Hindi Love Shayari Dil Dhondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din Images


Dil Dhondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din,
Baithe Rahen Tasawur-e-Jana Kiye Huhe...!!!

,دل ڈھونڈتا ہے فرسٹ کے رات دن
!!!...بیٹھے رہیں تصور جاناں کئیے ہوئے

दिल ढूँढता है फर्स्ट रात दिन,
बैठे रहें तसव्वुर जानां किए हुए...!!!


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah



Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jagaon Ga
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh ShakhsWasi
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah...!!!

Dukh Day Kar Sawaal Kartay Ho Tum Bhi Ghalib Kamaal Kartay Ho



Dukh Day Kar Sawaal Kartay Ho
Tum Bhi Ghalib! Kamaal Kartay Ho,

Daikh Kar Pooch Liyaa haal Mera
Chalo Kuch to Khayaal Kartay Ho, 

Shehar-e-Dil Me Yeh Udaasiyaan Kaisi?
Yeh Bhi Mujhsy Sawaal Kartay Ho? 

Marna Chaahain To Marr Hahi Saktay
Tum Bhi Jeenaa Muhaal Kartay Ho, 

Ab Kiss Kiss Ki Misaal Doon Tum Ko?
Har Sitam Bay-Misaal Kartay Ho...!!!



Dil Gaya Tha To Yeh Aankhain Bhi Koi Ly Jata Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahan Tak Dekhon



Dil Gaya Tha To Yeh Aankhain Bhi Koi Ly Jata,
Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahan Tak Dekhon...!!!


،دل گیا تھا تو یہ آنکھیں بھی کوئی لے جاتا 
!!!...میں فقط ایک ہی تصویر کہاں تک دیکھوں

दिल गया था तो ये आँखें भी कोई ले जाता,
मैं केवल एक ही तस्वीर कहाँ तक देखूँ...!!!


Dil Na Umeed To Nahi Nakaam Hi To Hai Lambi Hai Gham Ki Shaam Magar Shaam Hi To Hai



Dil Na Umeed To Nahi Nakaam Hi To Hai,
Lambi Hai Gham Ki Shaam Magar Shaam Hi To Hai...!!!

دل نہ امید تو نہیں، ناکام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام ،مگرشام ہی تو ہے

दिल ना उम्मीद तो नहीं नाकाम ही तो है,
लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है...!!!


Dear Love The Poem

Dear Love The Poem..


Dear Love

Dear Love, also known as
spindly, pernickety oaf-hands-and-face;
You are largely and on the whole fantastic.
Your ribcage is,
on occasion,
concave and semi-detached
with bird nesting in it caress.
L too am the roof.
Your limbs are too long
for skin to hide.
Decidedly withering.

I struggle to exceed you.

If your teeth were to
snap off and
snap the entire realm
I am sure you will remain
stuck in the lining of my pillowcase
as L think you up in my solemn bed
You are structurally sound

in the presence of imminent collapse...!!!


Dont Tell Me You Love Me The Poem



i have to admit the space is nice,
not having to talk 
or look people in the eye,
just at myself

i feel too naked 
without some glass to hide behind
reflections to disguise
all the scars 

i’ve made 
a nice big bed to lie in
closer to the stars
though it’s empty

honestly
i mostly dont want to speak to you
because there’s nothing to say
when it’s too hard to say no 
when i want to say yes
but know it’s not the right answer


it’s too easy to fall
back into old ways,
laughing
loving
like it makes sense
when it doesn’t

when these days
im too scared
to see what you’ve been doing
or who
or anything 
to remind myself all the reasons 
for letting go

though
in weaker moments
i can’t keep myself 
from looking back, hoping
for something hopeless

im still holding on
but i don’t know why
(don’t tell me)...!!!



Dil Ko Dard Aankhon Ko Diya Paani Tumny



Dil ko dard ankhon ko diya paani tumne
Kis adaa se ujar Di meri jawaani tumne,

Tark-e-Talluk ke baad yeh meetha sa dard
sangeen jurm ki di hai saza suhaani tumne,

Daag dil ke sahayad yaad dilaa dain tumko
barsoon ki hai yeh hukmarani tumne,

kafan Gul-O-Bulbul ka diya hai chaman ko
cheen kar gulshan se baagh baani tumne,

waaqif thi ke toot jaungi nazuk lafzon se
soch samjh kar ki ha manmaani tumne...!!!!


Dekha Nahi Shayad Tu Ne Abhi Zamane Ke Mizaaj Ko



Dekha Nahi Shayad Tu Ne Abhi Zamane Ke Mizaaj Ko,

Yeh Wafaa Wafaa Kehne Wale He Aksar Bewafaa Hoty Hain...!!!


Dard Tha Dil Me Par Kabi Dikhaya Nahi



Dard Tha Dil Me Par Kabi Dikhaya Nahi
Aansu Thy Aankhon Me Par Kabi Roye Nahi,

Yehi Farq Hai Dosti Or Piyar Me
Ishq Ne Kabi Hansaya Nahi Or Doston Ne Kabi Rulaya Nahi...!!!



Dekh Zara Raqeebon Ne Kahi Teri Seyj Na Saja Di Ho



Dekh Zara Raqeebon Ne Kahi Teri Seyj Na Saja Di Ho,

Kuch Phool Lapata Hain Mere Mazaar Se...!!!



Dekhtey Hain Ab Toordney Ka Hunar Kis Pe Aazmaaogey



Dekhtey Hain Ab Toordney Ka Hunar Kis Pe Aazmaaogey,

Yahan Ek Haatheyli Par Dil Hai Ek Hatheyli Par Waada...!!!



Dil Tujhy Bhoolna Bhi Chahy To Mushkil Ye Hai



Dil Tujhy Bhoolna Bhi Chahy To Mushkil Ye Hai,

Kis Tarah Sans Ki Zanjeer Ko Torra Jaye...!!!



Dil Chahta hai Zamaane Se Chhupa Loon Tujh Ko




Dil Chahta hai Zamaane Se Chhupa Loon Tujh Ko
Dil Ki Dhadhkan Ki Tarah Dil Me Basaa Loon Tujh Ko,

Koi Ehsaas Judaai Ka Na Rehne Paye
Is tarah Khud Me Meri Jaan Chhupa Loon Tujh Ko,

Tu Jo Rooth Jaye Mujh Se Mere Dil Ki Roshni
Saari Duniya Se Khafa Ho Kar Manaa Loon Tujh Ko,

Jab Bhi Mai Dekhoon Tere Chehre Pe Udaasi Ka Saya
Bas Yeh Chahoon Kisi Tarah Hasa Loon Tujh Ko,

Tu Kabhi Duniya Se Bezaar Ho Jaye To
Dil Ye Chahe Ki Bahon Me Apni Chhupa Loon Tujh Ko...!!!



Dhondo Ge Kahan Mujhko Lo Mera Pata Le Lo




Dhondo Ge Kahan Mujhko, Lo Mera Pata Le Lo,

Ek Qabar Nayi Hogi, Ek Jalta Diya Hoga...!!!


Do Din Ki Zindagi Hai Isay Do Hi Usoolon Pe Guzar Do




Do Din Ki Zindagi Hay, Isay Do Hi Usoolon Pe Guzar Do,

Raho To Pholon Ki Tarha, Bikhro To Khushboo Ki Tarha...!!!


DUM TOR JATI HAI HAR SHIKAYAT LABON PE AA KAR




DUM TOR JATI HAI HAR SHIKAYAT LABON PE AA KAR,

JAB TUM MASOOMIYAT SE KEHTE HO MENE KYA KIA HAI...???


Door Na Jaya Karo Dil Tadap Jata Hai




Door Na Jaya Karo Dil Tadap
Jata Hai,

Tere Hi Khayalon Mein Din
Guzar Jata Hai,

Aaj Pucha Hai Dil Ne Ek
Sawal Tum Se,

Kya Door Reh Kar Tumko
Humara Khayal Aata Hai...???

Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khyaal Unka




Dil ko aata hai jab bhi Khyaal
Unka
Tasvir se puchte hain phir Haal
Unka,

Woh kabhi humse pucha karte the
Judaai kya hai
Aaj Samajh aaya hai Sawaal
Unka...!!!


Dil Ki Dhadkanon Ko Ek Lamha Sabar Nahi




Dil Ki Dhadkanon Ko ek lamha sabar nahi
Shayad ke us ko ab meri kadar nahi,

Har safar mein mera kabhi hamsafar tha woh
Ab safar to hai magar woh hamsafar nahi...!!!


Random